Wednesday, September 19, 2012

Hum kya kar sakte hain
======================

Ek chingari bhi barood ke dher ko jalake rag kar sakti hai. Ek chhoti si jugnu kuch der ke liye iss duniya ko rausni deke jati hai.  Aaj ko agar hum na dekhen to kal ek badi tabahi aa sakti hai. Issiliye yeh ek chhoti si prayas hai. Han hum bolte hain main akela kya kar sakta hun.Han app bahoot kuch kar sakte hain. App ke ander bhi wahi chingari hai. Magar app oh najar andaj kar dete hain. App ke ghar ke ander koi aake aapko kuch bol de aap ko hani pahunchaye aur aap chhod de to main man jaungi ki aap ke ander kuch nehin hai.Agar aap usko palat ke bar karne ki khyamata rakhte hain to iss ka matlab yeh hai ki aap ab bhi jinda hain aur aap main wahi chingari kahin na kahin hai. Bas aap ko yeh pehchan ne ki der hai. "Hum kitne  bichharoon pe kiye bichhar                                ab na karen hai hai bekar kyun ki hum nehin lachhar                Agar jina hai to ab bolo aur nehin bhrastachar"
Han dostoon hum hain jo ki har waqt aapne kam main uljhe rehte hain.Aur bhul jate hain hum kaise kyun aur kis had tak curruption ke sikar hote rehte hain.Kabhi kabhi hum he anjane main inke sath dete hain.
Agar hum aaj ko na sudharen to yeh laut ke humko he dasenge.Hum aaj khus hain kyun ki humare pass job hai,bank balance hai aur settled hain.Kal humari pidhi  aayegi aur tab unko yeh samna karna padega.So agar hum aaj na soche to hum ek buri jindegi aapne bhabisya ke liye chhod jayenge. Mahatma gandhi  bole the "Charity begins at home".Agar koi kaam karna chahe to usse ghar se suru karna chahiye. Matlab yeh hai ki agar hum khud ke ghar saf karenge to Dusre bhi aapne ghar ko saf karenge. Aur iss tarah appne aap gaoun bhi saf ho jayegi. Aise he bhrastachar ko saf karna hai to pehele khud ko usse dur rakhna padega. Tab dhire dhire hum iss sedur jad se ukhad payenge. Hum khud he bhrastachar ko badhawa dete rehte hain. Magar hum iss se anjan rehte hain. Example: Gadi kharid te hain  usse chalate hain.Magar insurance,road taxetc bhul jate hain ya fir nehin bharte. Iss main hum sochte hain issko bhar ke kya faida. Fir hum traffic police se chipte firte hain. Hum traffic ke niyamo ka ulanghan karte hain. Kabhi pakde gaye to fir kuch le de ke mamla rafa dafa karte hain. Jara sochiye agar hum sab bharte aur traffic rule ko mante to azadi si ride ke majje le sakte hain aur khud bahoot si durghatanain se bach sakte hain. Aur yeh ghuskhori bhi band kar sakte hain. Han agar iss ke bad bhi koi police aap ko paise ki demand karta hai to uss se bill mange agar usse oh inkar kare to direct complain karen. Han kabhi kabhi wife demandable ho jati hain. Appne pati ke income ko dekh ke demand karna chahiye. Issiliye bolte hain "jitna bada chadar hai utna paer failana chahiye". Yeh samjhni padegi patniyoon ko ki appni budget ke hisab se demand karni chahiye. App khud samjdar hain. Aaj aap khud ke khusi ke liye demand kar rehe hain. Kal yeh laut ke aap ke pas aayegi. Aap ke pati aapki demand pura karne ke liye kyakya hatkande apnate hain sayed aap ko pata nehin hai. Issi ghuskhori,Bhrastachar ke liye aaj sab chhadha rate main mil rehi hai. Agar hum iss ko ghata den ya fir band kar den to sab sulabh dam main milne lagegi. So aap he isse control kar sakti hain.Aur yeh aap ke hath main hai. Kuch log appne kam karne ke liye jaldi karne ke chakar main adhikarion ko bina kuch soche samjhe paise offer karte hain. Issike chakar main aam janta bhi pareshani uthati hai. Han aap ke pass paise jada hain magar aisa bhi din aayega aap ko yeh bhari padega. Tab aap soche nehin the yeh itni badi roop le sakti hai.  So aaj se hum yeh chhoti moti batoon pe agar dhyan de to dhire dhire yeh maslla hal ho sakti hai.
Bole te hain na "The building is not built in one day". Agar ek din main koi building nehin ban sakti hai to jo saloon se chali aa rehi hai oh kaise ek din main chala jayega.So humain isse dhire dhire ukhadna padega. Hum nara de ke ya fir hadtal kar  ke koi inqlab nehin la sakte. Pehele humko sudharna padega. Fir dusroon ko tab jake hum duniya badal sakte hain.         
continued.........

Tuesday, August 7, 2012

Before  write something about life it is a big question for me.What is Life.Really we spent a healthy life?
Really we have emotion,feelings etc?No,never when I see around me everybody is like a machine.



Hum kahin na kahin khud ko bhul gaye hain.Jindegi bhoot khubsoorat hai.


Life is  so beautiful.
---------------------------------------------- 
Jindegi ki safar nehin aasan.....
            Iss main hai hum ko girna fir sambhalna...
Aaj ki anubhab ko leke aage hai chalna....
                       Fir gum bhi hasne lagegi dekhna.

Jindegi ko aise gumnam andhere main mat jane do yar..
          kuch to kar  jao jiske liye yeh duniya tum ko yad kare bar bar.
------------------------------------------------
Han Life is not so simple. yeh har koi ka ek different  view hai about life.
koi iss main sambhal nehin pata koi iss ko puri tarah ji jata hai.
   
      "Life is not bed of rose
                      It is something painful "
To hum isse bhi cool life ji sakte hain. Magar kuch different.Agar aap feel kar rehe hain ki ab kuch baki nehin bachha karne ko.Life boring hai to dostoon jine ka andaz thode badal do. Fir dekhna it will be
something different.
For unmarried people:
================
Matlab aap ek employee ho har din subhe office jate hain fir kam kam aur kam.Ghar aate hain har din jaise  
khana khate hain aur bed.This is as usual routine. If really fed up with this routine life then try to do something new. Like aap subhe yoga class join karen ya fir body conscious hain to gym join karen. wahan se aaneke bad ek achha sower len. Fir nasta karna na bhule. Aur time se office jayen. Jitna kam utna karen taki khud ko relax mile. Fir ghar jab aate hain to mind relax karne ke liye kuch slow music ya fir aap ko jo pasand ho oh sune.Extra ke liye aap weekends main kahin bahar ghumne ka program kijiye jis main aap thak na jayen
yeh dhyan main rakhen.Aur mahine do mahine ki antral main break len aur kahin dur ghumne plan karen.
Main sochti hun aap ki life main sudhar aayegi.Han aap khud ko koi bhi kaam main busy rakh sakte hain jaise ki likhna ya fir painting. Aise bahoot kuch hai jo aap ko khusi deta ho jaise ki blog writing.

Jeevan main har waqt koi na koi muskil aata hai.Isske liye to jina chhod nehin sakte.So, har ghadi ko aise jiye jaise aagle pal gum ho ya khusi , sukh ya dukh koi farak na pade. Unmarried ho ya fir married isse koi aata jata nehin. App ka jine ka style aap ki soch iss main bahoot maine rakhta hai. So keep smiling and live for ever.

Duniya main gum bahoot hai yaroon
Do din ke jindegi ko kyun aise gawayen.
                            Hum to pyar ke panchhi hain
                            Do Char mithe git gun gunayenge
Gum main kyun sisak sisak ke jiyen .Yeh do pal ko khusiyoon ke rang main rang jayen.


Bahoot kuch hai jiske proyog se hum humare jindegi ko khusnuma bana sakte hain.Bas yeh jine wale ki andaz hai oh kaise jina chahta hai.

After all i want to say "app pyar bant te chale app ko mile na mile.Pane ki chaht na rakhe.I guarented u the love will returned to you in some way. "

Life is so busy.....Dil ki har bat aur jindegi har mode ko tod ke rakh deta hai. I love to gossip, I love to chat with near and dear.but past days are not in my control then also I am back.I will wright again 




Keep Smiling  :)